muqabil der tak raushan sitara chahiye kuchh aur
muqābil der tak raushan sitāra chāhiye kuchh aur
añdhere kā ahāta pāra-pāra chāhiye kuchh aur
kahīñ bhī der tak Tiknā gavāra hai nahīñ us ko
nigāh-e-yār ko har pal nazāra chāhiye kuchh aur
safar meñ jhiil ke jab naav apnī nā-rasā Thahrī
khulā mujh par ki is bābat shikārā chāhiye kuchh aur
ajab kyā ki badan kī jal-bujhī sī raakh ke andar
sulag uThne pe āmāda sharāra chāhiye kuchh aur
ubhartī TūTtī maujoñ se andāza nahīñ hotā
samundar meñ ravānī kā ishāra chāhiye kuchh aur
jarā.id aur bhī aage mire 'shahzād' haiñ lekin
marātib ke havāle se shumāra chāhiye kuchh aur
muqabil der tak raushan sitara chahiye kuchh aur
andhere ka ahata para-para chahiye kuchh aur
kahin bhi der tak Tikna gawara hai nahin us ko
nigah-e-yar ko har pal nazara chahiye kuchh aur
safar mein jhil ke jab naw apni na-rasa Thahri
khula mujh par ki is babat shikara chahiye kuchh aur
ajab kya ki badan ki jal-bujhi si rakh ke andar
sulag uThne pe aamada sharara chahiye kuchh aur
ubharti TuTti maujon se andaza nahin hota
samundar mein rawani ka ishaara chahiye kuchh aur
jaraid aur bhi aage mere 'shahzad' hain lekin
maraatib ke hawale se shumara chahiye kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.