muqabla ho to sine pe war karta hai
muqābla ho to siine pe vaar kartā hai
vo dushmanī bhī baḌī pur-vaqār kartā hai
jo ho sake to use mujh se duur hī rakhiye
vo shaḳhs mujh pe baḌā e'tibār kartā hai
nagar meñ us kī bahut dushmanī ke charche haiñ
magar vo pyaar bhī dīvāna-vār kartā hai
maiñ jis ḳhayāl se dāman-kashīda rahtā huuñ
vahī ḳhayāl mirā intizār kartā hai
shikāyateñ use jab dostoñ se hotī hai
to dostoñ meñ hameñ bhī shumār kartā hai
muqabla ho to sine pe war karta hai
wo dushmani bhi baDi pur-waqar karta hai
jo ho sake to use mujh se dur hi rakhiye
wo shaKHs mujh pe baDa e'tibar karta hai
nagar mein us ki bahut dushmani ke charche hain
magar wo pyar bhi diwana-war karta hai
main jis KHayal se daman-kashida rahta hun
wahi KHayal mera intizar karta hai
shikayaten use jab doston se hoti hai
to doston mein hamein bhi shumar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.