muqawamat hai tera ghurur aur bad-kalami
muqāvamat hai tirā ġhurūr aur bad-kalāmī
mufāhamat hai hamārī hujjat kī nā-tamāmī
hurūf-e-kūchak meñ garche likkhā hai nām-e-nāmī
magar hai phir bhī jarīda-e-shā.erī girāmī
darūñ to us kā nashāt-ḳhez-o-fusūñ-asar hai
muzā.iqa kyā agarche hai sar-varaq meñ ḳhāmī
na.e mazāmīñ na.e asālīb sūjhte kyā
ki terī qismat meñ hai rivāyāt kī ġhulāmī
ajab chalan hai ki log bachche ko gāliyāñ deñ
agarche haiñ vāldain bachcha nahīñ harāmī
sharāra-pardāz hai tirī barhamī kā aalam
ġhusaile abrū haiñ tiir teġhoñ kī be-niyāmī
kareñ na kyoñ tere husn par naaz sabza-o-gul
ki zīnat-afroz baaġh hai terī ḳhush-ḳhirāmī
sitam mujhe baat baat par sher sūjhte haiñ
balā-e-jāñ ban ga.ī mirī qādir-ul-kalāmī
ye mujh se naqqād-e-be-ḳhabar pūchhtā hai aksar
nahīñ hai kyoñ merī shā.erī meñ ġham-e-avāmī
azal abad par muhīt huuñ maiñ basīt huuñ maiñ
vajūd merā na ibtidā.ī na iḳhtitāmī
koī na samjhe koī na jaane tire fasāne
ajab ye maayā ajab ye sansār hai suvāmī
hamesha rakhtī hai dil ko betāb 'krishn-mohan’
ajiib ehsās hai mirī hairat-e-davāmī
muqawamat hai tera ghurur aur bad-kalami
mufahamat hai hamari hujjat ki na-tamami
huruf-e-kuchak mein garche likkha hai nam-e-nami
magar hai phir bhi jarida-e-shaeri girami
darun to us ka nashat-KHez-o-fusun-asar hai
muzaiqa kya agarche hai sar-waraq mein KHami
nae mazamin nae asalib sujhte kya
ki teri qismat mein hai riwayat ki ghulami
ajab chalan hai ki log bachche ko galiyan den
agarche hain waldain bachcha nahin harami
sharara-pardaz hai teri barhami ka aalam
ghusaile abru hain tir teghon ki be-niyami
karen na kyon tere husn par naz sabza-o-gul
ki zinat-afroz bagh hai teri KHush-KHirami
sitam mujhe baat baat par sher sujhte hain
bala-e-jaan ban gai meri qadir-ul-kalami
ye mujh se naqqad-e-be-KHabar puchhta hai aksar
nahin hai kyon meri shaeri mein gham-e-awami
azal abad par muhit hun main basit hun main
wajud mera na ibtidai na iKHtitami
koi na samjhe koi na jaane tere fasane
ajab ye maya ajab ye sansar hai suwami
hamesha rakhti hai dil ko betab 'krishn-mohan’
ajib ehsas hai meri hairat-e-dawami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.