muqaddar aazmana chhoD denge
muqaddar āzmānā chhoḌ deñge
ham apnā har ḳhazāna chhoḌ deñge
ye vā'da hai agar ham tum se bichhḌe
to apne gaañv aanā chhoḌ deñge
ta'alluq ham sabhī rakkheñge un se
agar vo dil dukhānā chhoḌ deñge
mire jaane kī lag jaa.e ḳhabar to
yaqīnī hai vo khānā chhoḌ deñge
dilāsa doge mere lauTne ka
to vo aañsū bahānā chhoḌ deñge
sabhī dushman bahut ḳhush hoñge 'ashraf'
agar ham muskurānā chhoḌ deñge
muqaddar aazmana chhoD denge
hum apna har KHazana chhoD denge
ye wa'da hai agar hum tum se bichhDe
to apne ganw aana chhoD denge
ta'alluq hum sabhi rakkhenge un se
agar wo dil dukhana chhoD denge
mere jaane ki lag jae KHabar to
yaqini hai wo khana chhoD denge
dilasa doge mere lauTne ka
to wo aansu bahana chhoD denge
sabhi dushman bahut KHush honge 'ashraf'
agar hum muskurana chhoD denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.