muqaddar ki kyon hum shikayat karen
muqaddar kī kyoñ ham shikāyat kareñ
jo mil jaa.e us par qanā.at kareñ
ḳhirad be-amal be-yaqīñ kam-nazar
jahāñ meñ junūñ kī himāyat kareñ
munāsib hai islāh apnī hameñ
na auroñ ko hargiz hidāyat kareñ
har ik se mohabbat har ik par karam
na hargiz kisī se adāvat kareñ
gulistāñ ko baḳhsheñ na.ī zindagī
gul-o-nastaran kī hifāzat kareñ
butoñ kā agar faiz darkār hai
to siine meñ paidā harārat kareñ
rakheñ buġhz-o-kīna se dil pāk-sāf
na dair-o-haram kī ziyārat kareñ
javāno uTho nau-javāno uTho
sitam ke ḳhilāf ab baġhāvat kareñ
bashar se hai 'lāġhar' mohabbat agar
na be-shak ḳhudā kī ibādat kareñ
muqaddar ki kyon hum shikayat karen
jo mil jae us par qanaat karen
KHirad be-amal be-yaqin kam-nazar
jahan mein junun ki himayat karen
munasib hai islah apni hamein
na auron ko hargiz hidayat karen
har ek se mohabbat har ek par karam
na hargiz kisi se adawat karen
gulistan ko baKHshen nai zindagi
gul-o-nastaran ki hifazat karen
buton ka agar faiz darkar hai
to sine mein paida hararat karen
rakhen bughz-o-kina se dil pak-saf
na dair-o-haram ki ziyarat karen
jawano uTho nau-jawano uTho
sitam ke KHilaf ab baghawat karen
bashar se hai 'laghar' mohabbat agar
na be-shak KHuda ki ibaadat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.