muqaddar mein junun-e-fitna-saman le ke aaya hun
muqaddar mein junun-e-fitna-saman le ke aaya hun
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
muqaddar meñ junūn-e-fitna-sāmāñ le ke aaya huuñ
hayāt-e-ġham ke zarroñ meñ bayābāñ le ke aaya huuñ
nazar hasrat-badāmāñ dil pareshāñ le ke aaya huuñ
pa-e-nazr.e-junūñ ye sāz-o-sāmāñ le ke aaya huuñ
mirī āñkhoñ kī dur-afshāniyāñ mash.hūr-e-ālam haiñ
azal hī se maiñ ḳhū-e-abr-e-naisāñ le ke aaya huuñ
udhar vo ek husn-e-jalva-sāmāñ le ke aa.e haiñ
idhar maiñ ek zauq-e-husn-o-irfāñ le ke aaya huuñ
hadīs-e-ishq-o-sharh-e-husn ke jauhar luTātā huuñ
maiñ shā.ir huuñ shu.ūr-e-husn-o-irfāñ le ke aaya huuñ
idhar maujoñ ne sar piiTā udhar girdāb chakrā.e
maiñ qatra huuñ magar dariyā meñ tūfāñ le ke aaya huuñ
nazar aa.egī phir vo ishrat-e-rafta qafas vaalo
'musavvir' huuñ maiñ tasvīr-e-gulistāñ le ke aaya huuñ
muqaddar mein junun-e-fitna-saman le ke aaya hun
hayat-e-gham ke zarron mein bayaban le ke aaya hun
nazar hasrat-badaman dil pareshan le ke aaya hun
pa-e-nazre-junun ye saz-o-saman le ke aaya hun
meri aankhon ki dur-afshaniyan mashhur-e-alam hain
azal hi se main KHu-e-abr-e-naisan le ke aaya hun
udhar wo ek husn-e-jalwa-saman le ke aae hain
idhar main ek zauq-e-husn-o-irfan le ke aaya hun
hadis-e-ishq-o-sharh-e-husn ke jauhar luTata hun
main shair hun shuur-e-husn-o-irfan le ke aaya hun
idhar maujon ne sar piTa udhar girdab chakrae
main qatra hun magar dariya mein tufan le ke aaya hun
nazar aaegi phir wo ishrat-e-rafta qafas walo
'musawwir' hun main taswir-e-gulistan le ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.