muqayyad aadamiyyat ki zaban hai
muqayyad ādamiyyat kī zabāñ hai
ye ahd-e-āgahī kī dāstāñ hai
jahāñ gul yās-o-hasrat ke khile haiñ
hamāre zehn kā vo gulsitāñ hai
koī sūraj nahīñ apnī nazar meñ
fazā meñ ḳhauf-o-dahshat kā dhuāñ hai
jalā kar raakh kar degā jahāñ ko
hamārā qalb jo ātish-fishāñ hai
masarrat ko lagā lete jigar se
magar ġham se hameñ fursat kahāñ hai
muqayyad aadamiyyat ki zaban hai
ye ahd-e-agahi ki dastan hai
jahan gul yas-o-hasrat ke khile hain
hamare zehn ka wo gulsitan hai
koi suraj nahin apni nazar mein
faza mein KHauf-o-dahshat ka dhuan hai
jala kar rakh kar dega jahan ko
hamara qalb jo aatish-fishan hai
masarrat ko laga lete jigar se
magar gham se hamein fursat kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.