muraden koi pata hai kisi ki jaan jati hai
murādeñ koī paatā hai kisī kī jaan jaatī hai
hazāroñ dekhne vaale tirī chitvan ke baiThe haiñ
adū āshiq sahī maanā usī par munhasir kyā hai
abhī to chāhne vaale bahut bachpan ke baiThe haiñ
sabā kyā ḳhaak uḌā.egī adū kyā qahr Dhā.eñge
vo ḳhud pāmāl karne ko mire madfan ke baiThe haiñ
surāġh-e-naqsh-e-pā-e-ġhair shāyad apnā rahbar ho
sar-e-rāh-e-talab ham muntazir rahzan ke baiThe haiñ
muraden koi pata hai kisi ki jaan jati hai
hazaron dekhne wale teri chitwan ke baiThe hain
adu aashiq sahi mana usi par munhasir kya hai
abhi to chahne wale bahut bachpan ke baiThe hain
saba kya KHak uDaegi adu kya qahr Dhaenge
wo KHud pamal karne ko mere madfan ke baiThe hain
suragh-e-naqsh-e-pa-e-ghair shayad apna rahbar ho
sar-e-rah-e-talab hum muntazir rahzan ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.