musafahe se lakiren kahengi zat ka gham
musāfahe se lakīreñ kaheñgī zaat kā ġham
kisī ke haath na lag jaa.e mere haath kā ġham
lagā ke bhej diyā ham ko baat baat kā ġham
ye kā.enāt baḌī hai ki kā.enāt kā ġham
banā ga.ī hameñ be-ghar koī qafas-badarī
manā rahe haiñ tire mubtalā najāt kā ġham
abhī dhamāl kī mastī nahīñ tabī'at meñ
uñDel shaam ke sāġhar meñ puurī raat kā ġham
shumār meñ nahīñ aa.e mire savāneh-e-'umr
hayāt kaaT ke likhnā paḌā hayāt kā ġham
chaleñ to hotī hai dasht-e-'arab kī dil se ḳhushī
hamārī raah meñ paḌtā hai par furāt kā ġham
maiñ dīn-e-‘ishq meñ huuñ tū havas kī duniyā meñ
ye be-niyāzī kī ḳhushiyāñ vo ḳhvāhishāt kā ġham
tamām 'umr ko 'shāhid' huā hai dāman-gīr
suhāg-rāt kī beva se kā.enāt kā ġham
musafahe se lakiren kahengi zat ka gham
kisi ke hath na lag jae mere hath ka gham
laga ke bhej diya hum ko baat baat ka gham
ye kaenat baDi hai ki kaenat ka gham
bana gai hamein be-ghar koi qafas-badari
mana rahe hain tere mubtala najat ka gham
abhi dhamal ki masti nahin tabi'at mein
unDel sham ke saghar mein puri raat ka gham
shumar mein nahin aae mere sawaneh-e-'umr
hayat kaT ke likhna paDa hayat ka gham
chalen to hoti hai dasht-e-'arab ki dil se KHushi
hamari rah mein paDta hai par furaat ka gham
main din-e-‘ishq mein hun tu hawas ki duniya mein
ye be-niyazi ki KHushiyan wo KHwahishat ka gham
tamam 'umr ko 'shahid' hua hai daman-gir
suhag-raat ki bewa se kaenat ka gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.