musafir hun magar kya zindagi par hukmrani hai
musāfir huuñ magar kyā zindagī par hukmrānī hai
Thahar jā.ūñ to baaqī hai guzar jā.ūñ to faanī hai
mohabbat merī rag rag meñ sharāb-e-arġhavānī hai
kahāñ kā nashsha-e-mai merā nashsha jāvedānī hai
javānī aa.ī jaañ aa.ī ġham aaya maut aa.ī hai
abhī kyā jā.iye kis kis se tāqat āzmā.ī hai
ġhalat paḌtī haiñ dard-o-ġham kī bhaTkā.ī huī nazreñ
barāh-e-rāst jab dekhe koī duniyā suhānī hai
maiñ pachhtātā huuñ kyā kyā apnā ġham kah kar zamāna se
sunātā huuñ jise kahtā hai merī hī kahānī hai
gumān-e-bad ġhalat rāh-e-talab ke zarra zarra par
qadam kyūñkar uTheñ apne hī dil se bad-gumānī hai
mohabbat meñ na jiine kā irāda hai na marne kā
ajal par faisla Thahrā to ab jiine kī Thānī hai
mizāj-e-dard se bigḌā huā andāz-e-pursish hai
kahīñ aisā na ho kah duuñ tumhārī mehrbānī hai
musafir hun magar kya zindagi par hukmrani hai
Thahar jaun to baqi hai guzar jaun to fani hai
mohabbat meri rag rag mein sharab-e-arghawani hai
kahan ka nashsha-e-mai mera nashsha jawedani hai
jawani aai jaan aai gham aaya maut aai hai
abhi kya jaiye kis kis se taqat aazmai hai
ghalat paDti hain dard-o-gham ki bhaTkai hui nazren
barah-e-rast jab dekhe koi duniya suhani hai
main pachhtata hun kya kya apna gham kah kar zamana se
sunata hun jise kahta hai meri hi kahani hai
guman-e-bad ghalat rah-e-talab ke zarra zarra par
qadam kyunkar uThen apne hi dil se bad-gumani hai
mohabbat mein na jine ka irada hai na marne ka
ajal par faisla Thahra to ab jine ki Thani hai
mizaj-e-dard se bigDa hua andaz-e-pursish hai
kahin aisa na ho kah dun tumhaari mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.