musafiran-e-ishq ko wo dasht wo dayar de
musāfirān-e-ishq ko vo dasht vo dayār de
barahnagī ke 'ahd meñ jo chādar-e-ġhubār de
sahar kī raushnī meñ dekh zindagī kī mayyateñ
ye hādsoñ kā shahr jab libās-e-shab utaar de
na jaane kab se zindagī ko intizār hai mirā
patā nahīñ kahāñ huuñ maiñ koī mujhe pukār de
ye sach hai zindagī mire qadam kī jumbishoñ meñ hai
magar zarā salīb se koī mujhe utaar de
khulī huī haiñ jism kī tamām band khiḌkiyāñ
kisī charāġh se kaho koī kiran guzār de
maiñ koh koh dasht dasht chhoḌ duuñ nishān-e-pā
junūñ diyā hai gar mujhe junūñ pe iḳhtiyār de
ye kyā ki dasht-e-zīst meñ har ek samt ret hai
kahīñ to mauj-e-āb de koī to ābshār de
tū 'kāzim'-e-safīr-e-ahd-e-nau kī baat sun to le
phir us ke baa'd tū use miTā de yā sañvār de
musafiran-e-ishq ko wo dasht wo dayar de
barahnagi ke 'ahd mein jo chadar-e-ghubar de
sahar ki raushni mein dekh zindagi ki mayyaten
ye hadson ka shahr jab libas-e-shab utar de
na jaane kab se zindagi ko intizar hai mera
pata nahin kahan hun main koi mujhe pukar de
ye sach hai zindagi mere qadam ki jumbishon mein hai
magar zara salib se koi mujhe utar de
khuli hui hain jism ki tamam band khiDkiyan
kisi charagh se kaho koi kiran guzar de
main koh koh dasht dasht chhoD dun nishan-e-pa
junun diya hai gar mujhe junun pe iKHtiyar de
ye kya ki dasht-e-zist mein har ek samt ret hai
kahin to mauj-e-ab de koi to aabshaar de
tu 'kazim'-e-safir-e-ahd-e-nau ki baat sun to le
phir us ke ba'd tu use miTa de ya sanwar de
- Book : کتاب سنگ (Pg. 31)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.