musafiron ka yahan se guzar nahin hai kya
musāfiroñ kā yahāñ se guzar nahīñ hai kyā
tumhāre shahr meñ koī shajar nahīñ hai kyā
kisī bhī vaqt nigāheñ ye pher saktā hai
tumheñ zamāne kī kuchh bhī ḳhabar nahīñ hai kyā
jo tīra-baḳhtī kā kātib milā to pūchhūñgī
mire nasīb meñ koī sahar nahīñ hai kyā
nikālte ho bahū ko jo ghar se nañge sar
tumhāre zehn meñ beTī kā ghar nahīñ hai kyā
khurach ke dekhūñgī hāthoñ kī sab lakīroñ ko
vafā nibhāne kā un meñ hunar nahīñ hai kyā
tum aa.ine se muḳhātab ho āj-kal 'bilqīs'
tumhāre ghar meñ koī bhī bashar nahīñ hai kyā
musafiron ka yahan se guzar nahin hai kya
tumhaare shahr mein koi shajar nahin hai kya
kisi bhi waqt nigahen ye pher sakta hai
tumhein zamane ki kuchh bhi KHabar nahin hai kya
jo tira-baKHti ka katib mila to puchhungi
mere nasib mein koi sahar nahin hai kya
nikalte ho bahu ko jo ghar se nange sar
tumhaare zehn mein beTi ka ghar nahin hai kya
khurach ke dekhungi hathon ki sab lakiron ko
wafa nibhane ka un mein hunar nahin hai kya
tum aaine se muKHatab ho aaj-kal 'bilqis'
tumhaare ghar mein koi bhi bashar nahin hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.