musalahat mein koi shar na ho to achchha hai
musālahat meñ koī shar na ho to achchhā hai
phir āstīnoñ meñ ḳhanjar na ho to achchhā hai
darinde shahr kī saḌkoñ pe ghūmte hoñ jahāñ
vahāñ harīf bhī be-ghar na ho to achchhā hai
jalā ke bastiyāñ to haT gayā hai manzar se
ab us kī zad meñ tirā ghar na ho to achchhā hai
tirī talāsh meñ aane lagā huuñ apne qarīb
tū merī zaat ke andar na ho to achchhā hai
uḌā rahā huuñ patangeñ banā ke shīshe kī
havā ke haath meñ patthar na ho to achchhā hai
musalahat mein koi shar na ho to achchha hai
phir aastinon mein KHanjar na ho to achchha hai
darinde shahr ki saDkon pe ghumte hon jahan
wahan harif bhi be-ghar na ho to achchha hai
jala ke bastiyan to haT gaya hai manzar se
ab us ki zad mein tera ghar na ho to achchha hai
teri talash mein aane laga hun apne qarib
tu meri zat ke andar na ho to achchha hai
uDa raha hun patangen bana ke shishe ki
hawa ke hath mein patthar na ho to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.