musalahat se nikalenge hal dua se nahin
musālahat se nikāleñge hal du'ā se nahīñ
hamārā mas.ala bandoñ se hai ḳhudā se nahīñ
mujhe anā ko bhī apnī javāb denā hai
palaT ke ā.ūñgā lekin tirī sadā se nahīñ
tū har libās meñ bhātā hai merī āñkhoñ ko
mujhe to 'ishq hai tujh se tirī qabā se nahīñ
unheñ bas itnā batānā mire ta'alluq se
charāġh se hai ta'alluq mirā havā se nahīñ
tamām 'umr usī kā rahūñgā maiñ 'sharjīl'
agar vo merā nahīñ hai mirī balā se nahīñ
musalahat se nikalenge hal du'a se nahin
hamara masala bandon se hai KHuda se nahin
mujhe ana ko bhi apni jawab dena hai
palaT ke aaunga lekin teri sada se nahin
tu har libas mein bhata hai meri aankhon ko
mujhe to 'ishq hai tujh se teri qaba se nahin
unhen bas itna batana mere ta'alluq se
charagh se hai ta'alluq mera hawa se nahin
tamam 'umr usi ka rahunga main 'sharjil'
agar wo mera nahin hai meri bala se nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.