musalsal chala rahguzar mein raha
musalsal chalā rahguzar meñ rahā
mirā āb-o-dāna safar meñ rahā
maiñ apnī ghuTan apne dil meñ liye
hamesha havā-dār ghar meñ rahā
nazar se ka.ī log guzre magar
vahī ek chehra nazar meñ rahā
mujhe bhī ḳhushī DhūñDne aa.ī thī
magar un dinoñ maiñ safar meñ rahā
kisī par tavajjoh kisī ne na dī
mirā aib sab kī nazar meñ rahā
mujhe ḳhud bhī hairat hai is baat par
sukūñ se bahut shor-o-shar meñ rahā
guzārī hai 'nazmī' ajab zindagī
maiñ bāhar rahā huuñ na ghar meñ rahā
musalsal chala rahguzar mein raha
mera aab-o-dana safar mein raha
main apni ghuTan apne dil mein liye
hamesha hawa-dar ghar mein raha
nazar se kai log guzre magar
wahi ek chehra nazar mein raha
mujhe bhi KHushi DhunDne aai thi
magar un dinon main safar mein raha
kisi par tawajjoh kisi ne na di
mera aib sab ki nazar mein raha
mujhe KHud bhi hairat hai is baat par
sukun se bahut shor-o-shar mein raha
guzari hai 'nazmi' ajab zindagi
main bahar raha hun na ghar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.