musalsal KHauf hai ab to kahin aisa na ho jae
musalsal ḳhauf hai ab to kahīñ aisā na ho jaa.e
mirī arz-e-vatan mere liye burma na ho jaa.e
chale ik daur aisā bhī sar-e-mai-ḳhāna-e-hastī
junūñ ban jaa.e sahbā aur ḳhirad paimāna ho jaa.e
davā bhī dete rahte haiñ lagā dete haiñ charkā bhī
ġharaz ye hai marīz-e-ġham kahīñ achchhā na ho jaa.e
mire sabr-o-tahammul ko hañsī meñ Tālne vaale
kisī din merī ḳhāmoshī suḳhan-āsā na ho jaa.e
ghuTan had-darja behtar hai na.ī sarkash havāoñ se
zarā sābit-qadam rahnā darīcha vā na ho jaa.e
musalsal KHauf hai ab to kahin aisa na ho jae
meri arz-e-watan mere liye burma na ho jae
chale ek daur aisa bhi sar-e-mai-KHana-e-hasti
junun ban jae sahba aur KHirad paimana ho jae
dawa bhi dete rahte hain laga dete hain charka bhi
gharaz ye hai mariz-e-gham kahin achchha na ho jae
mere sabr-o-tahammul ko hansi mein Talne wale
kisi din meri KHamoshi suKHan-asa na ho jae
ghuTan had-darja behtar hai nai sarkash hawaon se
zara sabit-qadam rahna daricha wa na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.