musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki
musalsal yaad aatī hai chamak chashm-e-ġhazālāñ kī
akelī zaat hai aur raat hai jangal bayābāñ kī
zarā dekho havā-e-sub.h kaise khīñch laa.ī hai
akelī pankhuḌī meñ dilkashī saare gulistāñ kī
inhīñ galiyoñ meñ khulte the mulāqātoñ ke darvāze
inhīñ galiyoñ meñ chaltī haiñ havā.eñ shām-e-hijrāñ kī
koī zarre ko zarra hī samajh kar chhoḌ detā hai
kisī ko sūjhtī hai is se ta.amīr-e-bayābāñ kī
ye vo mausam hai jis meñ koī pattā bhī nahīñ hiltā
dil-e-tanhā uThātā hai sa.ūbat shām-e-hijrāñ kī
yahī kaafī hai dil se muddatoñ kā bojh to utrā
chalo is chashm-e-giryāñ ne koī mushkil to āsāñ kī
sitāre dard kī āvāz se ġhāfil nahīñ rahte
dam-e-āhū se raushan mash'aleñ reg-e-bayābāñ kī
musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki
akeli zat hai aur raat hai jangal bayaban ki
zara dekho hawa-e-subh kaise khinch lai hai
akeli pankhuDi mein dilkashi sare gulistan ki
inhin galiyon mein khulte the mulaqaton ke darwaze
inhin galiyon mein chalti hain hawaen sham-e-hijran ki
koi zarre ko zarra hi samajh kar chhoD deta hai
kisi ko sujhti hai is se tamir-e-bayaban ki
ye wo mausam hai jis mein koi patta bhi nahin hilta
dil-e-tanha uThata hai saubat sham-e-hijran ki
yahi kafi hai dil se muddaton ka bojh to utra
chalo is chashm-e-giryan ne koi mushkil to aasan ki
sitare dard ki aawaz se ghafil nahin rahte
dam-e-ahu se raushan mash'alen reg-e-bayaban ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.