musawwiri mein nafas phunkne ka fan bhi to ho
musawwiri mein nafas phunkne ka fan bhi to ho
Hasan Shahnawaz Zaidi
MORE BYHasan Shahnawaz Zaidi
musavvirī meñ nafas phūñkne kā fan bhī to ho
ki pairahan ho agar sāz-e-pairahan bhī to ho
to sirf aks nahīñ ik sahīfa-e-fan hai
is aa.ine meñ kabhī garmī-e-badan bhī to ho
vo shāyad is liye tasvīr ban ke baiThā rahā
faqat suḳhan hī nahīñ hasrat-e-suḳhan bhī to ho
maiñ aabī rañg meñ thoḌī sī aab chāhtā huuñ
agar nigāh paḌe aañkh meñ chubhan bhī to ho
ye soch kar use gul-dān meñ sajā na sake
vo phuul hai to use sohbat-e-chaman bhī to ho
musawwiri mein nafas phunkne ka fan bhi to ho
ki pairahan ho agar saz-e-pairahan bhi to ho
to sirf aks nahin ek sahifa-e-fan hai
is aaine mein kabhi garmi-e-badan bhi to ho
wo shayad is liye taswir ban ke baiTha raha
faqat suKHan hi nahin hasrat-e-suKHan bhi to ho
main aabi rang mein thoDi si aab chahta hun
agar nigah paDe aankh mein chubhan bhi to ho
ye soch kar use gul-dan mein saja na sake
wo phul hai to use sohbat-e-chaman bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.