mushaire nazar aate hain manDiyon ki tarah
mushā'ire nazar aate haiñ manDiyoñ kī tarah
bulā.e jaate haiñ ham jin meñ ranDiyoñ kī tarah
ye ehtimām to saarā hai māl-o-shohrat kā
lagā.e jaate haiñ ash'ār jhanDiyoñ kī tarah
phir ab ke dhoke se maarā gayā pitāma-e-'ishq
dikhā ke husn badan kā shikhanDiyoñ kī tarah
libās-e-jism to hai mustaqil libās-e-'adam
vujūd ko to pahante haiñ banDiyoñ kī tarah
havas ke maare hue log mārte haiñ hameñ
mohabbatoñ ke tarāzū kī DanDiyoñ kī tarah
tumheñ lagā.eñge ik zarb-e-inkisār ki bas
kabhī jo sāmne aa.e ghamanDiyoñ kī tarah
musha'ire nazar aate hain manDiyon ki tarah
bulae jate hain hum jin mein ranDiyon ki tarah
ye ehtimam to sara hai mal-o-shohrat ka
lagae jate hain ash'ar jhanDiyon ki tarah
phir ab ke dhoke se mara gaya pitama-e-'ishq
dikha ke husn badan ka shikhanDiyon ki tarah
libas-e-jism to hai mustaqil libas-e-'adam
wujud ko to pahante hain banDiyon ki tarah
hawas ke mare hue log marte hain hamein
mohabbaton ke taraazu ki DanDiyon ki tarah
tumhein lagaenge ek zarb-e-inkisar ki bas
kabhi jo samne aae ghamanDiyon ki tarah
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 49)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.