Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mushaf-e-ruKH ka tumhaare jo sana-KHwan hota

Hashim Azimabadi

mushaf-e-ruKH ka tumhaare jo sana-KHwan hota

Hashim Azimabadi

MORE BYHashim Azimabadi

    mus.haf-e-ruḳh tumhāre jo sanā-ḳhvāñ hotā

    dil-e-betāb mirā hāfiz-e-qur.āñ hotā

    misra-e-bahr-e-tavīl aap ba-īñ qāmat-o-qad

    maiñ vo misra nahīñ jo aap pe chaspāñ hotā

    tere rocket se bhī ai yaar maiñ letā Takkar

    mere qabze meñ agar taḳht-e-sulaimāñ hotā

    is meñ kuchh terī nahūsat bhī hai shāmil vaa.iz

    varna allāh ghar aisā na vīrāñ hotā

    shaiḳh laanī thī botal to chhupā kar laate

    dekhtā kaise koī is pe jo dāmāñ hotā

    dekhtā jo chhalaktā huā miinā vaa.iz

    terī badhnī se bhī arzāñ tirā īmāñ hotā

    hotī ai qais jo lailā koī aur bahan

    saath 'hāshim' bhī tire chāk-garebāñ hotā

    mushaf-e-ruKH ka tumhaare jo sana-KHwan hota

    dil-e-betab mera hafiz-e-quran hota

    misra-e-bahr-e-tawil aap ba-in qamat-o-qad

    main wo misra nahin jo aap pe chaspan hota

    tere rocket se bhi ai yar main leta Takkar

    mere qabze mein agar taKHt-e-sulaiman hota

    is mein kuchh teri nahusat bhi hai shamil waiz

    warna allah ka ghar aisa na viran hota

    shaiKH lani hi thi botal to chhupa kar late

    dekhta kaise koi is pe jo daman hota

    dekhta tu jo chhalakta hua mina waiz

    teri badhni se bhi arzan tera iman hota

    hoti ai qais jo laila ki koi aur bahan

    sath 'hashim' bhi tere chaak-gareban hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now