mushk-o-ambar na koi aab na dana mujh mein
mushk-o-'ambar na koī aab na daana mujh meñ
jis meñ vahshat ho vahī ghūmne aanā mujh meñ
jo bhī aa.egā vo bikhre hue par dekhegā
ab se pahle thā parindoñ kā Thikāna mujh meñ
'aql vaale mirī tasdīq nahīñ kar sakte
Thahr saktā hai ka.ī roz divāna mujh meñ
lab-e-dariyā kisī pyāse ne 'ibārat likh dī
tair sakte ho magar duub na jaanā mujh meñ
bāġhbāñ ḳhud mirī miTTī pe guzar karte haiñ
bhuul jaate haiñ magar peḌ lagānā mujh meñ
mushk-o-'ambar na koi aab na dana mujh mein
jis mein wahshat ho wahi ghumne aana mujh mein
jo bhi aaega wo bikhre hue par dekhega
ab se pahle tha parindon ka Thikana mujh mein
'aql wale meri tasdiq nahin kar sakte
Thahr sakta hai kai roz diwana mujh mein
lab-e-dariya kisi pyase ne 'ibarat likh di
tair sakte ho magar dub na jaana mujh mein
baghban KHud meri miTTi pe guzar karte hain
bhul jate hain magar peD lagana mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.