mushkil hai jidhar jaana udhar jaane ki zid hai
mushkil hai jidhar jaanā udhar jaane kī zid hai
rasta hai na manzil hai magar jaane kī zid hai
ye log ba-zid haiñ ki rahūñ apnī hadoñ meñ
aur mujh ko mirī had se guzar jaane kī zid hai
maiñ huuñ ki use sar pe biThāne pe musir huuñ
vo hai ki use dil se utar jaane kī zid hai
sāñseñ haiñ ki chaltī hī chalī jaatī haiñ paiham
aur dil ko isī lamha Thahar jaane kī zid hai
kyoñ 'ishq kī nagrī meñ bhaTakte ho musāfir
kis raah pe chalte ho kidhar jaane kī zid hai
but-ḳhāna ho masjid ho haram ho yā kalīsā
jaane do mujhe mujh ko agar jaane kī zid hai
ye kaun sī manzil hai 'sahar' yās-o-alam kī
ḳhvāboñ ko mire ḳhud hī bikhar jaane kī zid hai
mushkil hai jidhar jaana udhar jaane ki zid hai
rasta hai na manzil hai magar jaane ki zid hai
ye log ba-zid hain ki rahun apni hadon mein
aur mujh ko meri had se guzar jaane ki zid hai
main hun ki use sar pe biThane pe musir hun
wo hai ki use dil se utar jaane ki zid hai
sansen hain ki chalti hi chali jati hain paiham
aur dil ko isi lamha Thahar jaane ki zid hai
kyon 'ishq ki nagri mein bhaTakte ho musafir
kis rah pe chalte ho kidhar jaane ki zid hai
but-KHana ho masjid ho haram ho ya kalisa
jaane do mujhe mujh ko agar jaane ki zid hai
ye kaun si manzil hai 'sahar' yas-o-alam ki
KHwabon ko mere KHud hi bikhar jaane ki zid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.