mushkil mein agar mujh par teri na nazar jae
mushkil meñ agar mujh par terī na nazar jaa.e
ye banda-e-ājiz phir jaa.e to kidhar jaa.e
tūfān meñ kashtī ko chhoḌā hai to chhoḌā hai
āḳhir ye kashākash kyoñ Duube yā ubhar jaa.e
ye soch ke dete haiñ ḳhuuñ arz-e-vatan tujh ko
apnī na sahī terī taqdīr sañvar jaa.e
hāthoñ kī lakīroñ meñ jo hādisa likkhā hai
shaam aa.e sahar aa.e jab chāhe guzar jaa.e
ik phuul kī qismat meñ likkhā hai fanā honā
gesū se utar jaa.e turbat pe bikhar jaa.e
duniyā meñ bahut terī shohrat hai magar 'ahsan'
ḳhatra hai koī tujh ko badnām na kar jaa.e
mushkil mein agar mujh par teri na nazar jae
ye banda-e-ajiz phir jae to kidhar jae
tufan mein kashti ko chhoDa hai to chhoDa hai
aaKHir ye kashakash kyon Dube ya ubhar jae
ye soch ke dete hain KHun arz-e-watan tujh ko
apni na sahi teri taqdir sanwar jae
hathon ki lakiron mein jo hadisa likkha hai
sham aae sahar aae jab chahe guzar jae
ek phul ki qismat mein likkha hai fana hona
gesu se utar jae turbat pe bikhar jae
duniya mein bahut teri shohrat hai magar 'ahsan'
KHatra hai koi tujh ko badnam na kar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.