mushkil mein hai jaan bahut
mushkil meñ hai jaan bahut
jaan hai ab hairān bahut
us patthar-dil insāñ par
hote rahe qurbān bahut
man-bastī meñ koī nahīñ
ab to hai sunsān bahut
ab to mujh ko nikalnā hai
nikle haiñ armān bahut
jo apnoñ meñ hai tanhā
us kī hai pahchān bahut
ḳhud meñ rahte rahte hī
mujh meñ ab hai takān bahut
sab se milte milte meñ
ḳhud se rahā anjān bahut
dil se ga.e kuchh din rah kar
kar ke ga.e be-jān bahut
jiinā mushkil hai 'irshād'
marnā hai āsān bahut
mushkil mein hai jaan bahut
jaan hai ab hairan bahut
us patthar-dil insan par
hote rahe qurban bahut
man-basti mein koi nahin
ab to hai sunsan bahut
ab to mujh ko nikalna hai
nikle hain arman bahut
jo apnon mein hai tanha
us ki hai pahchan bahut
KHud mein rahte rahte hi
mujh mein ab hai takan bahut
sab se milte milte mein
KHud se raha anjaan bahut
dil se gae kuchh din rah kar
kar ke gae be-jaan bahut
jina mushkil hai 'irshad'
marna hai aasan bahut
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 104)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.