mushkilen baDhne lagi hain yahan goyai mein
mushkilen baDhne lagi hain yahan goyai mein
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
mushkileñ baḌhne lagī haiñ yahāñ goyā.ī meñ
qahqaha bhī huā shāmil jo pazīrā.ī meñ
jab bhī nārāz huā kartā hai andar koī
ham ġhazal us ko sunā dete haiñ bharpā.ī meñ
us kī āñkhoñ meñ kabhī phuul khilā karte the
chubhte kāñToñ se baḌā farq hai bīnā.ī meñ
tum udhar roz banāte ho havāoñ meñ mahal
ek parbat bhī hai poshīda yahāñ raa.ī meñ
haañ ye april hai bas aag hī barsāo abhī
khiltī kaliyoñ kī tarah boliye july meñ
ham se kyā pūchhte ho sail-e-ravāñ kā qissa
be-hisī apnī munaqqash hai jamī kaa.ī meñ
ajnabiyyat kī hadoñ se to nikal aa.e 'na'īm'
aur ham qaid hue ḳhauf-e-shanāsā.ī meñ
mushkilen baDhne lagi hain yahan goyai mein
qahqaha bhi hua shamil jo pazirai mein
jab bhi naraaz hua karta hai andar koi
hum ghazal us ko suna dete hain bharpai mein
us ki aankhon mein kabhi phul khila karte the
chubhte kanTon se baDa farq hai binai mein
tum udhar roz banate ho hawaon mein mahal
ek parbat bhi hai poshida yahan rai mein
han ye april hai bas aag hi barsao abhi
khilti kaliyon ki tarah boliye july mein
hum se kya puchhte ho sail-e-rawan ka qissa
be-hisi apni munaqqash hai jami kai mein
ajnabiyyat ki hadon se to nikal aae 'na'im'
aur hum qaid hue KHauf-e-shanasai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.