mushtahar nam karo tum mera aKHbaron mein
mushtahar naam karo tum mirā aḳhbāroñ meñ
maiñ to shāmil huuñ mohabbat ke gunahgāroñ meñ
mar ke bhī zinda-e-jāved haiñ fankār-e-azīm
jo nazar aate haiñ tārīḳh ke shah-pāroñ meñ
vaqt ke saath badal jaate haiñ jin ke atvār
mujhe shāmil na karo aise qalam-kāroñ meñ
log ab ghar se nikalte hue yuuñ Darte haiñ
nazr-e-dahshat kahīñ ho jaa.eñ na bāzāroñ meñ
jin ke sur taal haiñ ab raunaq-e-bāzār-e-adab
baT ga.ī bazm-e-suḳhan aise adākāroñ meñ
koī letā hī nahīñ bulbul-e-shaidā kī ḳhabar
buum aate haiñ nazar shāḳh pe gulzāroñ meñ
aaj mafqūd hai vo jazba-e-ashāb-e-rasūl
raqs karte the jo talvār kī jhankāroñ meñ
jis ke aslāf kī azmat ke nishāñ haiñ har sū
jaa.e ibrat hai vahī qaum hai nādāroñ meñ
log kahte haiñ use qasr-e-tamannā apnā
jis ke aslāf the apne kabhī me.amāroñ meñ
jo kabhī mere ishāroñ pe chalā karte the
ḳhū-e-iḳhlās vo baaqī na rahī yāroñ meñ
naam hai saf.ha-e-hastī se ab un kā ġhā.eb
mulk-o-millat ke jo 'barqī' the vafādāroñ meñ
mushtahar nam karo tum mera aKHbaron mein
main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein
mar ke bhi zinda-e-jawed hain fankar-e-azim
jo nazar aate hain tariKH ke shah-paron mein
waqt ke sath badal jate hain jin ke atwar
mujhe shamil na karo aise qalam-karon mein
log ab ghar se nikalte hue yun Darte hain
nazr-e-dahshat kahin ho jaen na bazaron mein
jin ke sur tal hain ab raunaq-e-bazar-e-adab
baT gai bazm-e-suKHan aise adakaron mein
koi leta hi nahin bulbul-e-shaida ki KHabar
bum aate hain nazar shaKH pe gulzaron mein
aaj mafqud hai wo jazba-e-ashab-e-rasul
raqs karte the jo talwar ki jhankaron mein
jis ke aslaf ki azmat ke nishan hain har su
jae ibrat hai wahi qaum hai nadaron mein
log kahte hain use qasr-e-tamanna apna
jis ke aslaf the apne kabhi meamaron mein
jo kabhi mere ishaaron pe chala karte the
KHu-e-iKHlas wo baqi na rahi yaron mein
nam hai safha-e-hasti se ab un ka ghaeb
mulk-o-millat ke jo 'barqi' the wafadaron mein
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.