musibat jis se zail ho rahi saman kar dega
musībat jis se zaa.il ho rahī sāmān kar degā
na ghabrānā ḳhudā sab mushkileñ āsān kar degā
ḳharābāt-e-jahāñ meñ kaun hai dil-soz saaqī sā
agar tarchhaT bhī denā hai to tujh ko chhān kar degā
qanā.at kī bhī daulat ho to istiġhnā nahīñ lāzim
jise tū naf.a samjhā hai yahī nuqsān kar degā
jagah dil meñ na de shauq-e-numū-dārī burī shai hai
yahī chaskā tujhe barbād ai nādān kar degā
kahūñgā aaj se maiñ sāhib-e-ejāz nāseh ko
agar mere dil-e-muztar kā itmīnān kar degā
tamannāoñ kī mehmānī tasavvur ke havāle kar
ki jo sāmāñ munāsib hai vahī sāmān kar degā
matā-e-be-bahā se kam na jaan ai chashm ashkoñ ko
yahī ronā tirā ḳhālī tirī dūkān kar degā
koī gar saltanat bhī de to vāpas kar na le ai dil
subuk har tarf tujh ko ġhair kā ehsān kar degā
kahe detā huuñ qātil le ḳhabar jāñ-bāz kī apne
fanā shauq-e-shahādat meñ kisī din jaan kar degā
tirī rū-poshiyāñ ai husn kab be-kār jā.eñgī
yahī parda ayaañ aalam meñ terī shaan kar degā
yaqīñ kar le ki ḳhud vo jalva-gar parde meñ hai varna
yahī zālim gumāñ terā tujhe hairān kar degā
ġhazal se kyā murād ai 'shād' hai arbāb-e-ma.anī kī
kisī din tasfiya us kā mirā dīvān kar degā
musibat jis se zail ho rahi saman kar dega
na ghabrana KHuda sab mushkilen aasan kar dega
KHarabaat-e-jahan mein kaun hai dil-soz saqi sa
agar tarchhaT bhi dena hai to tujh ko chhan kar dega
qanaat ki bhi daulat ho to istighna nahin lazim
jise tu nafa samjha hai yahi nuqsan kar dega
jagah dil mein na de shauq-e-numu-dari buri shai hai
yahi chaska tujhe barbaad ai nadan kar dega
kahunga aaj se main sahib-e-ejaz naseh ko
agar mere dil-e-muztar ka itminan kar dega
tamannaon ki mehmani tasawwur ke hawale kar
ki jo saman munasib hai wahi saman kar dega
mata-e-be-baha se kam na jaan ai chashm ashkon ko
yahi rona tera KHali teri dukan kar dega
koi gar saltanat bhi de to wapas kar na le ai dil
subuk har tarf tujh ko ghair ka ehsan kar dega
kahe deta hun qatil le KHabar jaan-baz ki apne
fana shauq-e-shahadat mein kisi din jaan kar dega
teri ru-poshiyan ai husn kab be-kar jaengi
yahi parda ayan aalam mein teri shan kar dega
yaqin kar le ki KHud wo jalwa-gar parde mein hai warna
yahi zalim guman tera tujhe hairan kar dega
ghazal se kya murad ai 'shad' hai arbab-e-mani ki
kisi din tasfiya us ka mera diwan kar dega
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 64)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.