musibat ka ye lamha kaTna hai
musībat kā ye lamha kāTnā hai
mujhe auroñ se achchhā kāTnā hai
darāñtī fikr kī painī karūñgā
mujhe misre ko thoḌā kāTnā hai
abhī maidān se bāhar na hoñge
hameñ kuchh din to jalva kāTnā hai
ġhanīm-e-mulk se jīteñge ham hī
zarā ik aadh dasta kāTnā hai
bichhaḌ kar us se zinda huuñ abhī tak
aziyyat kā ye vaqfa kāTnā hai
amal ke nit-na.e teshe banā kar
mujhe qismat kā likkhā kāTnā hai
burā to kaaT leñge vaqt tanhā
tumhāre saath achchhā kāTnā hai
maiñ us se muskurā kar hī milūñgā
ḳhushī se aaj ġhussa kāTnā hai
anā kī teġh ko kuchh tez kar lo
faqīro tum ko rutba kāTnā hai
hamārā ishq ho paayā na kāmil
so ab auroñ kā pattā kāTnā hai
musibat ka ye lamha kaTna hai
mujhe auron se achchha kaTna hai
daranti fikr ki paini karunga
mujhe misre ko thoDa kaTna hai
abhi maidan se bahar na honge
hamein kuchh din to jalwa kaTna hai
ghanim-e-mulk se jitenge hum hi
zara ek aadh dasta kaTna hai
bichhaD kar us se zinda hun abhi tak
aziyyat ka ye waqfa kaTna hai
amal ke nit-nae teshe bana kar
mujhe qismat ka likkha kaTna hai
bura to kaT lenge waqt tanha
tumhaare sath achchha kaTna hai
main us se muskura kar hi milunga
KHushi se aaj ghussa kaTna hai
ana ki tegh ko kuchh tez kar lo
faqiro tum ko rutba kaTna hai
hamara ishq ho paya na kaamil
so ab auron ka patta kaTna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.