musibat ke bhanwar mein bhi shanawar wo sanbhalta hai
musībat ke bhañvar meñ bhī shanāvar vo sañbhaltā hai
yaqīñ ho jis ko ḳhud par vo talātum se nikaltā hai
hathelī kī lakīroñ se nujūmī kī hī bātoñ se
nikammā aur kāhil to ḳhushī se bas uchhaltā hai
vafā kī raah meñ hamdam ġharībī ho ga.ī haa.il
tujhe paane kī ḳhvāhish meñ mirā to dil machaltā hai
havāoñ se na ghabrāo charāġhoñ ko jalāne do
shujā'at dekh kar apnī 'adū kā dil dahaltā hai
ga.e vo din banī-ādam kahā karte the sach har dam
zabāñ ko hazrat-e-insāñ libāsoñ sā badaltā hai
sarāboñ meñ na paanī hai haqīqat ye purānī hai
magar rahbar hamārā kyoñ nahīñ rasta badaltā hai
anā kī tum parastish ko usūloñ meñ gināte ho
ye 'parvāna' magar bas inkisārī se pighaltā hai
musibat ke bhanwar mein bhi shanawar wo sanbhalta hai
yaqin ho jis ko KHud par wo talatum se nikalta hai
hatheli ki lakiron se nujumi ki hi baaton se
nikamma aur kahil to KHushi se bas uchhalta hai
wafa ki rah mein hamdam gharibi ho gai hail
tujhe pane ki KHwahish mein mera to dil machalta hai
hawaon se na ghabrao charaghon ko jalane do
shuja'at dekh kar apni 'adu ka dil dahalta hai
gae wo din bani-adam kaha karte the sach har dam
zaban ko hazrat-e-insan libason sa badalta hai
sarabon mein na pani hai haqiqat ye purani hai
magar rahbar hamara kyon nahin rasta badalta hai
ana ki tum parastish ko usulon mein ginate ho
ye 'parwana' magar bas inkisari se pighalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.