musibat mein bhi ghairat-ashna KHamosh rahti hai
musībat meñ bhī ġhairat-āshnā ḳhāmosh rahtī hai
ki durveshoñ kī hājat to sadā ḳhāmosh rahtī hai
ḳhushī kā jashn ho yā mātam-e-marg-e-tamannā ho
yahāñ har haal meñ ḳhalq-e-ḳhudā ḳhāmosh rahtī hai
shajar ko vajd aatā hai na to shāḳheñ lachaktī haiñ
bahāroñ meñ bhī ab bād-e-sabā ḳhāmosh rahtī hai
mirī chashm-e-talab meñ ḳhvāb kā hañgāma ḳhema-zan
magar ta.abīr misl-e-kaj-adā ḳhāmosh rahtī hai
darūn-e-ḳhāna-e-dil roz o shab mahshar bapā lekin
zabāñ apnī barā.e-tajraba ḳhāmosh rahtī hai
chamak uThte haiñ jab chehre tab-o-tāb-e-tamannā se
to phir shā.istagī-e-ā.īna ḳhāmosh rahtī hai
mire chāroñ taraf aks-e-tilism-e-sāmrī raushan
ḳhamoshī chīḳhtī hai aur sadā ḳhāmosh rahtī hai
laraz jaatī haiñ palkeñ ashk jam jaate haiñ āñkhoñ meñ
jab apnī ḳhvāhish-e-be-sāḳhta ḳhāmosh rahtī hai
daraḳhtoñ kī baġhāvat hai ki ye mausam kī be-rahmī
ki jañgal aah bhartā hai havā ḳhāmosh rahtī hai
musibat mein bhi ghairat-ashna KHamosh rahti hai
ki durweshon ki hajat to sada KHamosh rahti hai
KHushi ka jashn ho ya matam-e-marg-e-tamanna ho
yahan har haal mein KHalq-e-KHuda KHamosh rahti hai
shajar ko wajd aata hai na to shaKHen lachakti hain
bahaaron mein bhi ab baad-e-saba KHamosh rahti hai
meri chashm-e-talab mein KHwab ka hangama KHema-zan
magar tabir misl-e-kaj-ada KHamosh rahti hai
darun-e-KHana-e-dil roz o shab mahshar bapa lekin
zaban apni barae-tajraba KHamosh rahti hai
chamak uThte hain jab chehre tab-o-tab-e-tamanna se
to phir shaistagi-e-aina KHamosh rahti hai
mere chaaron taraf aks-e-tilism-e-samri raushan
KHamoshi chiKHti hai aur sada KHamosh rahti hai
laraz jati hain palken ashk jam jate hain aankhon mein
jab apni KHwahish-e-be-saKHta KHamosh rahti hai
daraKHton ki baghawat hai ki ye mausam ki be-rahmi
ki jangal aah bharta hai hawa KHamosh rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.