musibat mein kabhi aise hasin lamhe bhi aate hain
musibat mein kabhi aise hasin lamhe bhi aate hain
Anwar Shamim Anwar
MORE BYAnwar Shamim Anwar
musībat meñ kabhī aise hasīñ lamhe bhī aate haiñ
ki dushman bhī purānī ranjishoñ ko bhuul jaate haiñ
bahut jī chāhtā hai jin se koī sach batāne ko
na jaane kyoñ vo sach qasdan unhī se ham chhupāte haiñ
unheñ ḳhud ehtisābī kī bhī kuchh taufīq ho yā-rab
jo qasdan aa.e din merī vafā.eñ āzmāte haiñ
baḌā qātil takalluf pal rahā hai tere lahje meñ
baḌe shub.hāt mere dil meñ paiham sar uThāte haiñ
ḳhudā rā sang-rezoñ kā shub.h karnā na tum hargiz
mire ḳhat meñ ḳhulūs-e-dil ke motī jagmagāte haiñ
ye ruḳh hai kyā hasīñ 'anvar-shamīm' apnī tabāhī kā
ka.ī ahbāb jo bechain the ab muskurāte haiñ
musibat mein kabhi aise hasin lamhe bhi aate hain
ki dushman bhi purani ranjishon ko bhul jate hain
bahut ji chahta hai jin se koi sach batane ko
na jaane kyon wo sach qasdan unhi se hum chhupate hain
unhen KHud ehtisabi ki bhi kuchh taufiq ho ya-rab
jo qasdan aae din meri wafaen aazmate hain
baDa qatil takalluf pal raha hai tere lahje mein
baDe shubhat mere dil mein paiham sar uThate hain
KHuda ra sang-rezon ka shubh karna na tum hargiz
mere KHat mein KHulus-e-dil ke moti jagmagate hain
ye ruKH hai kya hasin 'anwar-shamim' apni tabahi ka
kai ahbab jo bechain the ab muskuraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.