musibat mein kisi ko mubtala koi nahin karta
musībat meñ kisī ko mubtalā koī nahīñ kartā
bure a.amāl se ye apne sar ḳhud laa.ī jaatī hai
bahāroñ kī tamanna hī nahīñ ai bāġhbāñ ya.anī
guloñ par tāzgī ḳhūn-e-jigar se laa.ī jaatī hai
zarūrat hai basīrat aañkh meñ paidā ho rādhā se
chhabī ghanshyām kī to har jagah hī paa.ī jaatī hai
ye dastūr-e-kuhan hai dosto rindoñ kī mahfil kā
diloñ kī baat mushkil se zabāñ par laa.ī jaatī hai
agarche ek sī rūdād hai farhād-o-majnūñ kī
magar ye muḳhtalif andāz se dohrā.ī jaatī hai
ye duniyā ham ko ab tak raas aa.ī hai na aa.egī
ye maanā dilkashī is meñ bhī kuchh kuchh paa.ī jaatī hai
bashar kī izzat-o-azmat zar-o-gauhar se kyā hogī
ye daulat vaz.a-dārī hī meñ 'lāġhar' paa.ī jaatī hai
musibat mein kisi ko mubtala koi nahin karta
bure aamal se ye apne sar KHud lai jati hai
bahaaron ki tamanna hi nahin ai baghban yani
gulon par tazgi KHun-e-jigar se lai jati hai
zarurat hai basirat aankh mein paida ho radha se
chhabi ghanshyam ki to har jagah hi pai jati hai
ye dastur-e-kuhan hai dosto rindon ki mahfil ka
dilon ki baat mushkil se zaban par lai jati hai
agarche ek si rudad hai farhad-o-majnun ki
magar ye muKHtalif andaz se dohrai jati hai
ye duniya hum ko ab tak ras aai hai na aaegi
ye mana dilkashi is mein bhi kuchh kuchh pai jati hai
bashar ki izzat-o-azmat zar-o-gauhar se kya hogi
ye daulat waza-dari hi mein 'laghar' pai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.