musibaton se bhari zindagi hai majnun ki
musībatoñ se bharī zindagī hai majnūñ kī
shab-e-firāq meñ lailā dukhī hai majnūñ kī
ba-ḳhūbī jāntī hai merā haal ye duniyā
vo is liye ki udāsī likhī hai majnūñ kī
lagegā vaqt talaffuz ko saaf hone meñ
pakaḌ ġhazal pe abhī to banī hai majnūñ kī
umaḌ rahī hai javānī bhī sab meñ bār-e-digar
vo jab se photo purānī milī hai majnūñ kī
musibaton se bhari zindagi hai majnun ki
shab-e-firaq mein laila dukhi hai majnun ki
ba-KHubi jaanti hai mera haal ye duniya
wo is liye ki udasi likhi hai majnun ki
lagega waqt talaffuz ko saf hone mein
pakaD ghazal pe abhi to bani hai majnun ki
umaD rahi hai jawani bhi sab mein bar-e-digar
wo jab se photo purani mili hai majnun ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.