muskura dengi ye aankhen ashk bhar lane ke baad
muskura dengi ye aankhen ashk bhar lane ke baad
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
muskurā deñgī ye āñkheñ ashk bhar laane ke baad
aur afsāna sunā.ūñgā is afsāne ke baad
abr-e-tīra-tār meñ taḌpīñ hazāroñ bijliyāñ
kis ne ye zulfoñ ko jhaTkā ruḳh pe bikhrāne ke baad
ro rahe the sab dar-o-dīvār tere hijr meñ
zarra-zarra hañs paḌā hai tere aa jaane ke baad
kuchh ḳhabar hai tujh ko āshiq par tire guzrī hai kyā
is hasīñ chehre par in zulfoñ ke lahrāne ke baad
vo kabhī mar hī nahīñ saktā jo tujh par jaan de
zinda-e-jāved ho jā.ūñgā mar jaane ke baad
aaj terī yaad meñ ḳhūn-e-jigar rulvā ga.iiñ
badliyāñ phūloñ pe kuchh motī se barsāne ke baad
yak-ba-yak parda uThā kar tuur kā sāmāñ kiyā
daf.atan phir chhup ga.e bijlī sī chamkāne ke baad
husn bhī āḳhir usī ḳhanjar kā bismil ho gayā
ishq ke majrūh dil ko ḳhuub taḌpāne ke baad
terī aamad ne dil-e-murda ko zinda kar diyā
phir shagufta ho gayā ye phuul murjhāne ke baad
muskurā detī haiñ kaliyāñ dekh kar terī bahār
phuul khil jaate haiñ tere sāmne aane ke baad
jī uThūñgā az-sar-e-nau phir se marne ke liye
phir marūñgā ho ke zinda tujh pe mar jaane ke baad
chhaT ga.iiñ tārīkiyāñ manzil numāyāñ ho ga.ī
ġham-zada dil par mire māyūsiyāñ chhāne ke baad
muskura dengi ye aankhen ashk bhar lane ke baad
aur afsana sunaunga is afsane ke baad
abr-e-tira-tar mein taDpin hazaron bijliyan
kis ne ye zulfon ko jhaTka ruKH pe bikhrane ke baad
ro rahe the sab dar-o-diwar tere hijr mein
zarra-zarra hans paDa hai tere aa jaane ke baad
kuchh KHabar hai tujh ko aashiq par tere guzri hai kya
is hasin chehre par in zulfon ke lahrane ke baad
wo kabhi mar hi nahin sakta jo tujh par jaan de
zinda-e-jawed ho jaunga mar jaane ke baad
aaj teri yaad mein KHun-e-jigar rulwa gain
badliyan phulon pe kuchh moti se barsane ke baad
yak-ba-yak parda uTha kar tur ka saman kiya
dafatan phir chhup gae bijli si chamkane ke baad
husn bhi aaKHir usi KHanjar ka bismil ho gaya
ishq ke majruh dil ko KHub taDpane ke baad
teri aamad ne dil-e-murda ko zinda kar diya
phir shagufta ho gaya ye phul murjhane ke baad
muskura deti hain kaliyan dekh kar teri bahaar
phul khil jate hain tere samne aane ke baad
ji uThunga az-sar-e-nau phir se marne ke liye
phir marunga ho ke zinda tujh pe mar jaane ke baad
chhaT gain tarikiyan manzil numayan ho gai
gham-zada dil par mere mayusiyan chhane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.