Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se

Najm Aafandi

muskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se

Najm Aafandi

MORE BYNajm Aafandi

    muskurāhaTeñ sīkheñ qahr nigāhoñ se

    dād-e-sarkashī le ham ne kaj-kulāhoñ se

    kyā kaheñ mohabbat raaz kam-nigāhoñ se

    ham ne dil banā.e haiñ āñsuoñ se aahoñ se

    apnī ma.arifat ham ek din sabaq deñge

    dekhte chale jaao ajnabī nigāhoñ se

    us ke haq mujrim huuñ phir bhī us rahmat hai

    ḳhud bachā liyā mujh ko mubtazil gunāhoñ se

    farsh par hai taḳht un arsh par dimāġh apnā

    kyā faqīr rahte haiñ dab ke bādshāhoñ se

    saare mas.ale hal haiñ maslak-e-mohabbat meñ

    un raah miltī hai be-shumār rāhoñ se

    'najm' ye nishānī hai ahl-e-dil duniyā meñ

    ham ko ḳhaas nisbat hai ġham bārgāhoñ se

    muskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se

    dad-e-sarkashi le li hum ne kaj-kulahon se

    kya kahen mohabbat ka raaz kam-nigahon se

    hum ne dil banae hain aansuon se aahon se

    apni marifat ka hum ek din sabaq denge

    dekhte chale jao ajnabi nigahon se

    us ke haq ka mujrim hun phir bhi us ki rahmat hai

    KHud bacha liya mujh ko mubtazil gunahon se

    farsh par hai taKHt un ka arsh par dimagh apna

    kya faqir rahte hain dab ke baadshahon se

    sare masale hal hain maslak-e-mohabbat mein

    un ki rah milti hai be-shumar rahon se

    'najm' ye nishani hai ahl-e-dil ki duniya mein

    hum ko KHas nisbat hai gham ki bargahon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now