muskurana tumhin se sikha hai
muskurānā tumhīñ se sīkhā hai
har bahāna tumhīñ se sīkhā hai
ġham ke mausam meñ hañs ke dushman ka
dil jalānā tumhīñ se sīkhā hai
apne mahbūb kī ḳhushī ke liye
haar jaanā tumhīñ se sīkhā hai
mujh ko mā’lūm hī na thā kuchh bhī
gungunānā tumhīñ se sīkhā hai
chhoTī chhoTī sī baat par aksar
ruuTh jaanā tumhīñ se sīkhā hai
ġham ka mujh par asar nahīñ hotā
ġham bhulānā tumhīñ se sīkhā hai
ham to nā-ahl the magar 'ashraf'
dostāna tumhīñ se sīkhā hai
muskurana tumhin se sikha hai
har bahana tumhin se sikha hai
gham ke mausam mein hans ke dushman ka
dil jalana tumhin se sikha hai
apne mahbub ki KHushi ke liye
haar jaana tumhin se sikha hai
mujh ko ma’lum hi na tha kuchh bhi
gungunana tumhin se sikha hai
chhoTi chhoTi si baat par aksar
ruTh jaana tumhin se sikha hai
gham ka mujh par asar nahin hota
gham bhulana tumhin se sikha hai
hum to na-ahl the magar 'ashraf'
dostana tumhin se sikha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.