muskurane lagi hai KHamoshi
muskurāne lagī hai ḳhāmoshī
dil lubhāne lagī hai ḳhāmoshī
dil meñ jaise hī un kī yaad aa.ī
gungunāne lagī hai ḳhāmoshī
dil kī dhaḌkan zarā Thahar jā tū
kuchh batāne lagī hai ḳhāmoshī
be-takalluf thī ab na jaane kyoñ
kuchh chhupāne lagī hai ḳhāmoshī
saḳht dahshat-zada huuñ jaane kyoñ
ab bulāne lagī hai ḳhāmoshī
ibtidā meñ to dil ko bhātī thī
ab Darāne lagī hai ḳhāmoshī
maiñ huuñ suqrāt-e-vaqt aur mujhe
kuchh pilāne lagī hai ḳhāmoshī
itnī tārīkiyāñ haiñ ab 'shāhid'
dil chabāne lagī hai ḳhāmoshī
muskurane lagi hai KHamoshi
dil lubhane lagi hai KHamoshi
dil mein jaise hi un ki yaad aai
gungunane lagi hai KHamoshi
dil ki dhaDkan zara Thahar ja tu
kuchh batane lagi hai KHamoshi
be-takalluf thi ab na jaane kyon
kuchh chhupane lagi hai KHamoshi
saKHt dahshat-zada hun jaane kyon
ab bulane lagi hai KHamoshi
ibtida mein to dil ko bhati thi
ab Darane lagi hai KHamoshi
main hun suqraat-e-waqt aur mujhe
kuchh pilane lagi hai KHamoshi
itni tarikiyan hain ab 'shahid'
dil chabane lagi hai KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.