muskurane pe unhen kis liye ruswa karte
muskurāne pe unheñ kis liye rusvā karte
baat hī kyā thī ki jis baat kā charchā karte
likhnā paḌtī jo kabhī un ke sarāpā pe ġhazal
pahroñ tanhā.ī meñ baiThe hue sochā karte
vo to yuuñ kahiye ki dekhā nahīñ un ko varna
dekh lete jo unheñ log to dekhā karte
ab hameñ apnī tabāhī meñ koī shak na rahā
ham ne ḳhud dekh liyā un ko ishāra karte
sham.a yādoñ kī farozāñ thī farozāñ hī rahī
tīrgī ghar meñ jo hotī to ujālā karte
ham ko shohrat kī na ḳhvāhish na tamannā koī
bhuul jaate jo hameñ log to achchhā karte
haath aatā jo kabhī jins kī sūrat ai dost
ahl-e-fan apne ḳhayāloñ kā bhī saudā karte
sang aur ḳhisht ke bāzār meñ kyoñ baiTh ga.e
log ā.īne ko kis tarah gavārā karte
apne ahbāb se shikva hai yahī ham ko 'sirāj'
der lagtī hī nahīñ jhūTe ko sachchā karte
muskurane pe unhen kis liye ruswa karte
baat hi kya thi ki jis baat ka charcha karte
likhna paDti jo kabhi un ke sarapa pe ghazal
pahron tanhai mein baiThe hue socha karte
wo to yun kahiye ki dekha nahin un ko warna
dekh lete jo unhen log to dekha karte
ab hamein apni tabahi mein koi shak na raha
hum ne KHud dekh liya un ko ishaara karte
shama yaadon ki farozan thi farozan hi rahi
tirgi ghar mein jo hoti to ujala karte
hum ko shohrat ki na KHwahish na tamanna koi
bhul jate jo hamein log to achchha karte
hath aata jo kabhi jins ki surat ai dost
ahl-e-fan apne KHayalon ka bhi sauda karte
sang aur KHisht ke bazar mein kyon baiTh gae
log aaine ko kis tarah gawara karte
apne ahbab se shikwa hai yahi hum ko 'siraj'
der lagti hi nahin jhuTe ko sachcha karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.