muskuraate hue chehre se wo manzar nikla
muskurāte hue chehre se vo manzar niklā
jeb jab us kī TaTolī maiñ ne ḳhanjar niklā
chain se qabr meñ bhī rahne nahīñ detā hai
aur koī nahīñ vo merā mujāvir niklā
baañT detā hai vo jholī meñ bharī sab ḳhushiyāñ
ham ne samjhā jise qatra vo samundar niklā
apne āñchal meñ chhupā letī hai duniyā ke ġham
dil merī maañ kā samundar se bhī baḌh kar niklā
aaj āshram meñ paTak aayā vo būḌhī maañ ko
mom ham jis ko samajhte rahe patthar niklā
mom ham jis ko samajhte rahe patthar niklā
paḌ ga.e pīchhe mire aaj zamāne vaale
jab maiñ nafrat bharī dīvār girā kar niklā
vaqt kaTtā nahīñ ab un ke binā yāroñ ab
das mahīne to ga.e ab ye november niklā
das mahīne to ga.e ab ye november niklā
us ko puujā maiñ ne bhagvān samajh kar 'indorī'
āzmāyā to faqat raah kā patthar niklā
muskuraate hue chehre se wo manzar nikla
jeb jab us ki TaToli main ne KHanjar nikla
chain se qabr mein bhi rahne nahin deta hai
aur koi nahin wo mera mujawir nikla
banT deta hai wo jholi mein bhari sab KHushiyan
hum ne samjha jise qatra wo samundar nikla
apne aanchal mein chhupa leti hai duniya ke gham
dil meri man ka samundar se bhi baDh kar nikla
aaj aashram mein paTak aaya wo buDhi man ko
mom hum jis ko samajhte rahe patthar nikla
mom hum jis ko samajhte rahe patthar nikla
paD gae pichhe mere aaj zamane wale
jab main nafrat bhari diwar gira kar nikla
waqt kaTta nahin ab un ke bina yaron ab
das mahine to gae ab ye nowember nikla
das mahine to gae ab ye nowember nikla
us ko puja main ne bhagwan samajh kar 'indori'
aazmaya to faqat rah ka patthar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.