muskuraate hue hum un se juda hote hain
muskurāte hue ham un se judā hote haiñ
ishq meñ zabt ke andāz sivā hote haiñ
mahfil-e-ġhair meñ aate nahīñ be-parda kabhī
hashr aise hī mirī jaan bapā hote haiñ
koī majnūñ hī mire baad idhar aa.egā
dasht ham logoñ se ābād sadā hote haiñ
āzmā.ish meñ na is darja tavaqquf kiije
zulm āshiq pe mirī jaan ravā hote haiñ
daar par dekho ki 'aḳhtar' sar-e-maqtal dekho
jalva-afroz faqat ahl-e-vafā hote haiñ
muskuraate hue hum un se juda hote hain
ishq mein zabt ke andaz siwa hote hain
mahfil-e-ghair mein aate nahin be-parda kabhi
hashr aise hi meri jaan bapa hote hain
koi majnun hi mere baad idhar aaega
dasht hum logon se aabaad sada hote hain
aazmaish mein na is darja tawaqquf kije
zulm aashiq pe meri jaan rawa hote hain
dar par dekho ki 'aKHtar' sar-e-maqtal dekho
jalwa-afroz faqat ahl-e-wafa hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.