muskuraati hui aankhen thin ki jhilmil se charagh
muskurātī huī āñkheñ thiiñ ki jhilmil se charāġh
us ke jaate hī lagā chal diye mahfil se charāġh
tīrgī ko hī mirā rāh-numā rahne de
mujh ko gumrāh na kar deñ kahīñ manzil se charāġh
shab-e-‘āshūr batā tujh ko bhī mā'lūm nahīñ
bā'is-e-nūr-e-do-'ālam haiñ ye bismil se charāġh
kis ne kholā hai mirā raaz ki maiñ huuñ sūraj
haT ga.e sharm se ḳhud mere muqābil se charāġh
tujh se pahle hī havā ne mirā ghar dekh liyā
ab darīchoñ meñ jaleñge zarā mushkil se charāġh
maiñ to ġharqāb-e-talātum huuñ baḌī muddat se
kis ko dete haiñ sadā aaj bhī sāhil se charāġh
tū ki ruḳhsār pe ḳhurshīd liye phirtā hai
raushnī māñgte rahte haiñ tire til se charāġh
maiñ to 'sāgar' kī huuñ ik mauj tū pahchān mujhe
jab bhī chāhūñgā maiñ le jā.ūñgā sāhil se charāġh
muskuraati hui aankhen thin ki jhilmil se charagh
us ke jate hi laga chal diye mahfil se charagh
tirgi ko hi mera rah-numa rahne de
mujh ko gumrah na kar den kahin manzil se charagh
shab-e-‘ashur bata tujh ko bhi ma'lum nahin
ba'is-e-nur-e-do-'alam hain ye bismil se charagh
kis ne khola hai mera raaz ki main hun suraj
haT gae sharm se KHud mere muqabil se charagh
tujh se pahle hi hawa ne mera ghar dekh liya
ab darichon mein jalenge zara mushkil se charagh
main to gharqab-e-talatum hun baDi muddat se
kis ko dete hain sada aaj bhi sahil se charagh
tu ki ruKHsar pe KHurshid liye phirta hai
raushni mangte rahte hain tere til se charagh
main to 'sagar' ki hun ek mauj tu pahchan mujhe
jab bhi chahunga main le jaunga sahil se charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.