mustaqbil ki aankh pahan ke durust andaza roe the
mustaqbil kī aañkh pahan ke durust andāza ro.e the
baasī shahr pe rone vaale bilkul taaza ro.e the
yādoñ kī zambīl khulī to chaukhaT hasrat-nāk huī
kuchh lamhe dīvār se lipTe kuchh darvāza ro.e the
baras rahī thī bāġh-e-adan se chham-chham ġham kī hariyālī
peḌ falak ke darvāze par yak-āvāza ro.e the
kājal kājal bahte ga.e the surḳh saver ke Dore meñ
aañkh meñ kuchh ḳhvāboñ ke chehre ġhāza-ġhāza ro.e the
piile paat utar aa.e the sabz kitāb ke mātam meñ
kuchh bikhre aurāq pe taḌpe kuchh shīrāza ro.e the
nasloñ ke sailāb ke aage koī muñDer na Thahrī thī
bastī ke muñh-zor Thikāne be-darvāza ro.e the
kis kī shah par fasl hañsī thī kaun nasībe vaalā thā
ham to kore sahrāoñ par be-ḳhamyāza ro.e the
mustaqbil ki aankh pahan ke durust andaza roe the
basi shahr pe rone wale bilkul taza roe the
yaadon ki zambil khuli to chaukhaT hasrat-nak hui
kuchh lamhe diwar se lipTe kuchh darwaza roe the
baras rahi thi bagh-e-adan se chham-chham gham ki hariyali
peD falak ke darwaze par yak-awaza roe the
kajal kajal bahte gae the surKH sawer ke Dore mein
aankh mein kuchh KHwabon ke chehre ghaza-ghaza roe the
pile pat utar aae the sabz kitab ke matam mein
kuchh bikhre auraq pe taDpe kuchh shiraaza roe the
naslon ke sailab ke aage koi munDer na Thahri thi
basti ke munh-zor Thikane be-darwaza roe the
kis ki shah par fasl hansi thi kaun nasibe wala tha
hum to kore sahraon par be-KHamyaza roe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.