mustaqil hath milate hue thak jata hun
mustaqil haath milāte hue thak jaatā huuñ
meñ na.e dost banāte hue thak jaatā huuñ
abr āvāra huuñ maiñ koī samundar to nahīñ
pyaas sahrā kī bujhāte hue thak jaatā huuñ
mālik kaun-o-makāñ ab to rihā.ī de de
jism kā bojh uThāte hue thak jaatā huuñ
to mire raaz batāte hue thaktā hī nahīñ
meñ tire raaz chhupāte hue thak jaatā huuñ
mere qadmoñ se lipaT jaatī hai maañ kī mamtā
maiñ kahīñ gaañv se jaate hue thak jaatā huuñ
jaane kab jā ke mirā ishq mukammal hogā
raqs karte hue gaate hue thak jaatā huuñ
mustaqil hath milate hue thak jata hun
mein nae dost banate hue thak jata hun
abr aawara hun main koi samundar to nahin
pyas sahra ki bujhate hue thak jata hun
malik kaun-o-makan ab to rihai de de
jism ka bojh uThate hue thak jata hun
to mere raaz batate hue thakta hi nahin
mein tere raaz chhupate hue thak jata hun
mere qadmon se lipaT jati hai man ki mamta
main kahin ganw se jate hue thak jata hun
jaane kab ja ke mera ishq mukammal hoga
raqs karte hue gate hue thak jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.