mustaqil hijr ke asbab liye baiThe hain
mustaqil hijr ke asbāb liye baiThe haiñ
qissa-e-hīr ko ahbāb liye baiThe haiñ
kar ga.e kuuch kahīñ duur ke desoñ panchhī
aur ham gaañv meñ tālāb liye baiThe haiñ
kaash vo shoḳh kabhī baḳhshe hameñ izn-e-qubūl
ham rah-e-shauq meñ ījāb liye baiThe haiñ
be-libāsī ke talazzuz meñ pujārī nācheñ
devte hāthoñ meñ kamḳhāb liye baiThe haiñ
dil ke dariyā pe kiyā ret ne qabza 'āsif'
aañkh ke dasht ko sailāb liye baiThe haiñ
mustaqil hijr ke asbab liye baiThe hain
qissa-e-hir ko ahbab liye baiThe hain
kar gae kuch kahin dur ke deson panchhi
aur hum ganw mein talab liye baiThe hain
kash wo shoKH kabhi baKHshe hamein izn-e-qubul
hum rah-e-shauq mein ijab liye baiThe hain
be-libasi ke talazzuz mein pujari nachen
dewte hathon mein kamKHab liye baiThe hain
dil ke dariya pe kiya ret ne qabza 'asif'
aankh ke dasht ko sailab liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.