mutmain dil unki ulfat se magar aankhen pur-ab
mutma.in dil un kī ulfat se magar āñkheñ pur-āb
aah dīvāne kī duniyā aah dīvāne kā ḳhvāb
miT chukā hotā kabhī kā ye dil-e-nā-kāmyāb
chheḌtā rahtā hai aksar koī hastī kā rabāb
jaam ban kar jhuk rahe haiñ āftab-o-māhtāb
ye luTāne aa gayā hai kaun āñkhoñ se sharāb
tak rahe haiñ Dūbte taare dhaḌakte dil ke saath
sub.h kā rangīñ samāñ hai aur vo haiñ mahv-e-ḳhvāb
allah allah ye nigāh-e-muntazir kā mo.ajiza
sau hijāboñ se huā jaatā hai koī be-hijāb
kaun maltā hai nasīm-e-sub.h meñ ye siskiyāñ
kaun aaj uTThā hai un kī bazm se nā-kāmyāb
koī tārīkī meñ chupke se baḌhā detā hai lau
jab shab-e-ġham bujhne lagtā hai dil-e-nā-kāmyāb
ai 'shifā' mere savāloñ ne sitam ye kyā kiyā
aah kin āñkhoñ se un ko dekhtā huuñ lā-javāb
mutmain dil un ki ulfat se magar aankhen pur-ab
aah diwane ki duniya aah diwane ka KHwab
miT chuka hota kabhi ka ye dil-e-na-kaamyab
chheDta rahta hai aksar koi hasti ka rabab
jam ban kar jhuk rahe hain aaftab-o-mahtab
ye luTane aa gaya hai kaun aankhon se sharab
tak rahe hain Dubte tare dhaDakte dil ke sath
subh ka rangin saman hai aur wo hain mahw-e-KHwab
allah allah ye nigah-e-muntazir ka moajiza
sau hijabon se hua jata hai koi be-hijab
kaun malta hai nasim-e-subh mein ye siskiyan
kaun aaj uTTha hai un ki bazm se na-kaamyab
koi tariki mein chupke se baDha deta hai lau
jab shab-e-gham bujhne lagta hai dil-e-na-kaamyab
ai 'shifa' mere sawalon ne sitam ye kya kiya
aah kin aankhon se un ko dekhta hun la-jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.