mutmain hun ki mujhe chhoD ke itna KHush hai
mutma.in huuñ ki mujhe chhoḌ ke itnā ḳhush hai
vo jise dekh ke lagtā hai ki bachcha ḳhush hai
kitnā ḳhush hai vo mohabbat se rihā.ī pā kar
jab se rūThā hai zarūrat se ziyāda ḳhush hai
maiñ na hotā to use niiñd nahīñ aatī thī
maiñ to hairān huuñ vo shaḳhs akelā ḳhush hai
aisī hālat hai tire hijr meñ dīvāne kī
vo tamāsha hai ki har dekhne vaalā ḳhush hai
mujh se bezār se shikva nahīñ karnā jaa.ez
mujh sā ḳhush ho bhī to lagtā hai adhūrā ḳhush hai
dostā maiñ bhī kabhī mast huā kartā thā
sab mujhe dekh ke kahte the ki laḌkā ḳhush hai
tū batā dost ki fankār ko kyā kahtā maiñ
jis ne marzī se banā ke mujhe pūchhā ḳhush hai
ye qafas khol do aur sāmne se haT jaao
baiTh jaa.e to samajh lo ki parinda ḳhush hai
mutmain hun ki mujhe chhoD ke itna KHush hai
wo jise dekh ke lagta hai ki bachcha KHush hai
kitna KHush hai wo mohabbat se rihai pa kar
jab se ruTha hai zarurat se ziyaada KHush hai
main na hota to use nind nahin aati thi
main to hairan hun wo shaKHs akela KHush hai
aisi haalat hai tere hijr mein diwane ki
wo tamasha hai ki har dekhne wala KHush hai
mujh se bezar se shikwa nahin karna jaez
mujh sa KHush ho bhi to lagta hai adhura KHush hai
dosta main bhi kabhi mast hua karta tha
sab mujhe dekh ke kahte the ki laDka KHush hai
tu bata dost ki fankar ko kya kahta main
jis ne marzi se bana ke mujhe puchha KHush hai
ye qafas khol do aur samne se haT jao
baiTh jae to samajh lo ki parinda KHush hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.