mutmain hun main is KHasare par
mutma.in huuñ maiñ is ḳhasāre par
sab luTāyā hai apne pyāre par
kis ne ruknā hai kis ne jaanā hai
munhasir hai tire ishāre par
is kināre pe maiñ akelā huuñ
kaun hai dūsre kināre par
tū palaT kar kabhī to aa.egā
jī rahe haiñ isī sahāre par
kis liye bad-gumān hote ho
naam likkhā hai jab sitāre par
vo qafas to kabhī khulā hī nahīñ
ham ne be-kār hī sañvāre par
āñsuoñ ke nishān zinda rahe
ek tasvīr ke kināre par
mutmain hun main is KHasare par
sab luTaya hai apne pyare par
kis ne rukna hai kis ne jaana hai
munhasir hai tere ishaare par
is kinare pe main akela hun
kaun hai dusre kinare par
tu palaT kar kabhi to aaega
ji rahe hain isi sahaare par
kis liye bad-guman hote ho
nam likkha hai jab sitare par
wo qafas to kabhi khula hi nahin
hum ne be-kar hi sanware par
aansuon ke nishan zinda rahe
ek taswir ke kinare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.