muzmar hai baqa hasti-e-alam ki fana mein
muzmar hai baqa hasti-e-alam ki fana mein
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
muzmar hai baqā hastī-e-ālam kī fanā meñ
ik jalva-e-vahdat bhī hai kasrat kī fazā meñ
āvāz-e-alast aap kī maiñ sun to chukā thā
apne ko phañsāyā hai balā kah ke balā meñ
nairangī-e-andāz-e-nazar dekh rahā huuñ
Duubī huī hai shoḳh-nazar sharm-o-hayā meñ
dam toḌtā is tarah na bīmār-e-mohabbat
shāyad ki ajal bhī thī sharīk un kī adā meñ
dekhā hai jo vahshī kā tire ḳhaak uḌānā
chakkar meñ bagūlā hai to gardish hai havā meñ
dekho mujhe dekhā na karo nīchī nazar se
kyoñ karte ho rusvā mujhe bazm-e-rufaqā meñ
ye ḳhatm na hogī na kabhī aa.egā vo din
kyā farq shab-e-hijr meñ aur roz-e-jazā meñ
lo fasl-e-bahār aate hī vo ho gayā ifshā
jo raaz ki ġhunchoñ kā thā poshīda sabā meñ
kaun aaya thā ai shaiḳh gayā kaun idhar se
sajdoñ ke nishāñ kaise haiñ naqsh-e-kaf-e-pā meñ
pūchho ye sikandar se ki shāhī na thī kaafī
jo umr basar kī havas-e-āb-e-baqā meñ
saaqī ne jo zāhid ko zarā aañkh dikhā.ī
be-ḳhud hue ik jām-e-mai-e-hosh-rubā meñ
kyoñ ahl-e-fanā se ḳhabar-e-qāfila pūchheñ
ham jānte haiñ gum vo huā rāh-e-baqā meñ
lā-ilm huuñ kyā jāniye kyā is meñ likhā hai
hai nāma-e-a.amāl mirā dast-e-qazā meñ
Dartā huuñ kahīñ vo na jhijak jaa.e na Dar jaa.e
paidā huī bijlī kī chamak āh-e-rasā meñ
ye kam hai darāzī meñ na vo tuul meñ kuchh kam
nisbat hai shab-e-hijr meñ aur zulf-e-dotā meñ
kyoñ bāñdh nahīñ lete ho dil 'shād' kā le kar
tukme kī kamī hai jo garebān-e-qabā meñ
muzmar hai baqa hasti-e-alam ki fana mein
ek jalwa-e-wahdat bhi hai kasrat ki faza mein
aawaz-e-alast aap ki main sun to chuka tha
apne ko phansaya hai bala kah ke bala mein
nairangi-e-andaz-e-nazar dekh raha hun
Dubi hui hai shoKH-nazar sharm-o-haya mein
dam toDta is tarah na bimar-e-mohabbat
shayad ki ajal bhi thi sharik un ki ada mein
dekha hai jo wahshi ka tere KHak uDana
chakkar mein bagula hai to gardish hai hawa mein
dekho mujhe dekha na karo nichi nazar se
kyon karte ho ruswa mujhe bazm-e-rufaqa mein
ye KHatm na hogi na kabhi aaega wo din
kya farq shab-e-hijr mein aur roz-e-jaza mein
lo fasl-e-bahaar aate hi wo ho gaya ifsha
jo raaz ki ghunchon ka tha poshida saba mein
kaun aaya tha ai shaiKH gaya kaun idhar se
sajdon ke nishan kaise hain naqsh-e-kaf-e-pa mein
puchho ye sikandar se ki shahi na thi kafi
jo umr basar ki hawas-e-ab-e-baqa mein
saqi ne jo zahid ko zara aankh dikhai
be-KHud hue ek jam-e-mai-e-hosh-ruba mein
kyon ahl-e-fana se KHabar-e-qafila puchhen
hum jaante hain gum wo hua rah-e-baqa mein
la-ilm hun kya jaaniye kya is mein likha hai
hai nama-e-amal mera dast-e-qaza mein
Darta hun kahin wo na jhijak jae na Dar jae
paida hui bijli ki chamak aah-e-rasa mein
ye kam hai daraazi mein na wo tul mein kuchh kam
nisbat hai shab-e-hijr mein aur zulf-e-dota mein
kyon bandh nahin lete ho dil 'shad' ka le kar
tukme ki kami hai jo gareban-e-qaba mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.