muztar wo ho gae jo paDi un ke kan mein
muztar vo ho ga.e jo paḌī un ke kaan meñ
tāsīr kis qadar thī mirī dāstān meñ
kyā DhūñDhtā hai dard-e-mohabbat kī tū davā
miltī nahīñ davā ye kisī kī dukān meñ
aayā hai aaj un ke laboñ par tumhārā naam
chupke se kah ga.ī hai sabā mere kaan meñ
nazreñ phirīñ tumhārī to jaañ hī nikal ga.ī
jab multafit hue to hai jaan aa.ī jaan meñ
'dānish' kiyā hai maiñ ne jo soz-e-darūñ kā zikr
chhāle se paḌ ga.e haiñ hamārī zabān meñ
muztar wo ho gae jo paDi un ke kan mein
tasir kis qadar thi meri dastan mein
kya DhunDhta hai dard-e-mohabbat ki tu dawa
milti nahin dawa ye kisi ki dukan mein
aaya hai aaj un ke labon par tumhaara nam
chupke se kah gai hai saba mere kan mein
nazren phirin tumhaari to jaan hi nikal gai
jab multafit hue to hai jaan aai jaan mein
'danish' kiya hai main ne jo soz-e-darun ka zikr
chhaale se paD gae hain hamari zaban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.