na aah karte hue aur na wah karte hue
na aah karte hue aur na vaah karte hue
jiyeñge zabt ko apnī panāh karte hue
vo ek rañg jo chhalkegā us kī āñkhoñ se
vo jiit legā mujhe ik nigāh karte hue
badal bhī saktī hai duniyā ye jāntā huuñ magar
maiñ haar jā.ūñgā us se nibāh karte hue
maiñ sab hisāb rakhūñgā safediyoñ se pare
ab apnī fard-e-amal ko siyāh karte hue
tire baġhair mujhe zindagī na raas aa.ī
so jī rahā huuñ maiñ ḳhud ko tabāh karte hue
na aah karte hue aur na wah karte hue
jiyenge zabt ko apni panah karte hue
wo ek rang jo chhalkega us ki aankhon se
wo jit lega mujhe ek nigah karte hue
badal bhi sakti hai duniya ye jaanta hun magar
main haar jaunga us se nibah karte hue
main sab hisab rakhunga safediyon se pare
ab apni fard-e-amal ko siyah karte hue
tere baghair mujhe zindagi na ras aai
so ji raha hun main KHud ko tabah karte hue
- Book : Tabani (Pg. 225)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.